Allah ne hazrat Essa A.s.ko zinda Asman par kyu uthya कुरान में ईसा मसीह का जिक्र

 Allah ne hazrat Essa A.s.ko zinda Asman par kyu uthya कुरान में ईसा मसीह का जिक्र


Jab hazrat Essa AS ko asman

Par allah taala ne utha liya tha or jo nasala or yahudiyo 

Ki jo galat fahmi hai ki hazrat Essa AS ko suli par chadhya gaya ye kaha tak 

Such hai

Hazrat Essa AS ko Asman par uthne ki poori Dalai or unki yahudiyo ne unke hi dusman ko suli par chadha 

Diya ye sab ham es post se janenge to ye post pura padhiye


                 




      Allah ke nabi hazrat Essa AS ne 

Jab yahudiyo ke samne apni 

Nabuvat ka elan farmaya 

To yahudi pahle se hi torat mai padh chuke the ki hazrat Essa AS unke deen mansooh kar denge isliye 

Yahudi aap hazrat Essa AS ke dusman ho gaye yaha tak ke jab hazrat Essa AS ne ye mahsus farma liya ki yahudi

Apne kufr par hi ko nhi chodhenge or mujhe katl kar

Denge to isliye aap hazrat Essa  AS ne logo ko mukhtlit karke farmaya 


    

       Ke kon mere madad gar hote hai allah ke deen ki yaraf 12 ke 15 logo ne kaha ki ham khuda ke deen ke madad gar hai ham allah ke deen par  eman laye or aap gavah ho jaye ki ham musalman hai 


Baki tamam yahudiyo ne apna kufr nhi chhora yaha tak ki unhi yahudiyo ne joshe adavat mai aap hazrat Essa AS ko katl karne ka mansuba banaya


  Or ek shaks ko yahudiyo ne

Jiska name tatya noos tha aap hazrat Essa AS ke makan mai aapko katl karne

Ke liye bhej diya itne mai allah tabarak ba taala ne hazrat jibraile AS ke sath ek baldi ko bheja or us badli ne 


   Aap hazrat Essa AS ko Asman ki taraf utha liya aap 

Hazrat Essa AS ki valida jo unse behad muhabbat karti the unhone joshe muhabbat 


   Mai chimath gai to aap hazrat Essa AS ne farmaya amma jan ab kayamat ke din

Aapki or hamari mulakat ogi or us badli ne aap hazrat Essa AS ko Asman par pahuncha diya

   


     Ye vakya baitul mukaddas

Mai shabe kadr ki rat mai ruk mukaddas hua us samay

Aap hazrat Essa AS ki Omar 

25 se 35 ke aaspas the


   Tatya noos jo aap hazrat Essa AS ko katl karne ke liye aapke makan mai dekhil  hua tha to jab tatya noos bahut der tak makan se bahar na nikla to sare yahudiyo ne makan mai gus kar dekha 

   

    To allah tabarak taala ne tatya noos ko aap hazrat Essa AS  ki sakl mai bana diya tha yahudiyo ne tatya noos ko hazrat Essa AS samaj kar katl kar diya uske bad jab tatya noos ke ghar valo ne tatya noos ko guar se dekha to bas chehra hazrat Essa AS  ka the baki poora badan tatya noos ka tha 


   Tatya noos ke ahle khandan ne dekha to kaha agar

Ye hazrat Essa AS hai to hamare aadmi tatya noos kaha hai or agar ye tatya noos hai to hazrat Essa AS kaha gaye es par khud yahudiyo mai jango jalal ki adavart hi gai 


  Or khud yahudiyo ne ek dosre ko katl karna suru kar

Diya bahut se yahudi katl ho

Gaye allah tabarak b taala ne kuraane mazeed Mai es 

Vakye ka zikr kuch es tarah

Batay hai jiska tarzuma hai 

Or qafiro ne muqr kiya or allah me unke halak ki khufiya kabeeh farmai or allah sabse bahtar chhuki takbeer vala hai yaad karo jab allah ne farmaya aa Essa

Mai tujhe poori umr tak puhchaunga or tujhe apni taraf utha lunga or tujhe qafiro se pak kardunga or 

Tere pairo karo ko tere munkiro par galva dunga fir

Tum sab meri taraf palat kar

Aaoge 

  Mai tumme faisla farma dunga jis bat mai jhagadhte ho 


   Surya aaleimran aap hazrat Essa AS Asman par chale jane ke bad bibi maryam AS 6 sal duniya mai

Rahkar vafat pai  bukhare sareef or muslim sareef ki rivayat hai ke kareebe kayamat ke vaqt hazrat Essa AS zameen par utrenge or nabiyo ke nabi huzur sallallahu aley vasallam ki 

Shariyat par aml karenge or 

Dazzal or khanzeer ko qatl karenge or saleeb ko tor denge or 7 sal alfarma kar vafat payenge or madeene munawra mai gumbate khazra ke Andar matfool honge 

  

   Allah tabarak b taala kuraane mazeed mai irshad farmata hai tarzuma beshak

Unhone usko qatl na kiya balki allah ne usko apni taraf utha liya or Allah galib hiqmat vala hai surya alm ishra mai allah tabarak taala nai ek or jagah irshad farmata hai unhone na uska qatl kiya

Or na uski sooli di balki unke liye uski shabi ka ek bana diya gaya 

  

   Bradrane islam sahi bat ye hai ki hazrat Essa AS ko nhi yahudiyo ne suli par chadhaya balki allah ne unhe Asman par utha liya 

 Jo saqs ye yaqeeda rakhe hazrat Essa AS qatl ya suli par chadhaye gaye to bo insan qafir hai 

 

Kyuki kuraane mazeed mai shaf shaf likha hai ki hazrat Essa AS na to qatl hue na hi suli par latkaye gaye 





                Conclusion 

To pyare islami bhaiyo mere

Ye post pasand aaye cement karke bataya 

Or kuch punchna chahe to cement karke punch sakte hai  Salam mualekum 


टिप्पणियाँ

एक टिप्पणी भेजें